koi sitara-e-shab ya ghubar tha wo bhi
zamin pe naz-e-falak ka shumar tha wo bhi
main reza reza zamin par magar wara-e-zamin
numud-e-pairahan-e-tar-tar tha wo bhi
sinan-ba-dast jo aaya wo dasta-e-gul tha
jo lala-ru tha so amboh-e-KHar tha wo bhi
wo paD gaya tha magar ranj-e-na-gahani mein
girah-kusha gila-e-saz-gar tha wo bhi
usi se KHak mein ranai-e-tajammul hai
zamin pe jhukta hua kohsar tha wo bhi
kisi pe jam gai chashm-e-gurez-pa aaKHir
ajib lamha-e-be-iKHtiyar tha wo bhi
Ghazal
Koi sitara-e-shab ya ghubar tha wo bhi
Syed Amin Ashraf

