اردو हिंदी
Koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai | Shaahi Shayari
koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai

Ghazal

Koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai

Sharib Lakhnavi

;

koi shai nahin yahan mustaqil ye ajab yahan ka nizam hai
kabhi dhup hai kabhi chhanw hai kabhi subh hai kabhi sham hai

wo jafa karen to jafa karen main wafa se baz na aaunga
unhen apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

jo hamari nazren na pa saken to hamari nazron ki hai KHata
tera jalwa pahle bhi aam tha tera jalwa aaj bhi aam hai

ye miTa chuki meri zindagi to karam se apne sanwar de
wo meri nigah ka kaam tha ye teri nigah ka kaam hai

wo haram ho ya ki ho but-kada ki wo sang-e-dar ho habib ka
jahan teri yaad na aa sake wahan sajda karna haram hai

ye KHabar hai zist ka karwan rah-e-ishq mein hai rawan-dawan
magar us ki koi KHabar nahin ki safar kahan pe tamam hai

use zindagi ka laqab diya ki jo ek KHwab-e-fareb hai
use maut kahta hai be-KHabar ki jo zindagi ka payam hai

nahin kaamyab amal agar tu adam mein ho ki wajud mein
na yahi sukun ka maqam hai na wahi sukun ka maqam hai