koi samjhao dariya ki rawani kaTti hai
ki mere sans ko tishna-dahani kaTti hai
main bahar to bahut achchha hun par andar hi andar
mujhe koi bala-e-na-gahani kaTti hai
main dariya hun magar kitna sataya ja raha hun
ki basti roz aa ke mera pani kaTti hai
zamin par hun magar kaT kaT ke girta ja raha hun
musalsal ek nigah-e-asmani kaTti hai
main kuchh din se achanak phir akela paD gaya hun
nae mausam mein ek wahshat purani kaTti hai
ki raja mar chuka hai aur shahzade jawan hain
ye rani kis tarah apni jawani kaTti hai
nazar walo tumhaari aankh se shikwa hai mujh ko
zaban walo tumhaari be-zabani kaTti hai
Ghazal
Koi samjhao dariya ki rawani kaTti hai
Liaqat Jafri