koi sachche KHwab dikhata hai par jaane kaun dikhata hai
mujhe sari raat jagata hai par jaane kaun jagata hai
koi dariya hai jis ki lahren mujhe khinch rahi hain aur koi
meri jaanib hath baDhata hai par jaane kaun baDhata hai
kabhi ja-e-namaz ki banhon mein kabhi hamd durud ki chhanw mein
koi zar-o-zar rulata hai par jaane kaun rulata hai
wahi be-KHabari wahi jiwan ka be-ant safar aur aise mein
koi apni yaad dilata hai par jaane kaun dilata hai
kahin is malum si duniya mein koi na-malum si duniya hai
koi us ke bhed batata hai par jaane kaun batata hai
meri tanhai mein ek nai tanhai hai jis ke rangon mein
koi apne rang milata hai par jaane kaun milata hai
koi kahta hai ye rasta hai aur tere liye hai ye rasta
koi is mein KHak uData hai par jaane kaun uData hai
koi kahta hai ye duniya hai aur tere liye hai ye duniya
koi is se KHauf dilata hai par jaane kaun dilata hai
koi kahta hai is miTTi mein kai KHwab hain aur in KHwabon se
koi baiTha naqsh banata hai par jaane kaun banata hai
koi har shai ke sine mein kahin maujud hai zahir hone ko
koi apna aap chhupata hai par jaane kaun chhupata hai
koi dekha an-dekha har pal chup-chap likhe jata hai magar
koi mujh mein shor machata hai par jaane kaun machata hai
mujhe duniya apni chhab dikhlane roz chali aati hai magar
koi donon bich aa jata hai par jaane kaun aa jata hai
Ghazal
Koi sachche KHwab dikhata hai par jaane kaun dikhata hai
Saleem Kausar