اردو हिंदी
Koi qarib na aae shikasta-pa hun main | Shaahi Shayari
koi qarib na aae shikasta-pa hun main

Ghazal

Koi qarib na aae shikasta-pa hun main

Mahboob Khizan

;

koi qarib na aae shikasta-pa hun main
karam to hai magar anjam dekhta hun main

meri nigah mein kuchh aur DhunDne wale
teri nigah mein kuchh aur DhunDta hun main

zamana der-faramosh to nahin itna
ye Thik hai ki bahut der-ashna hun main

ghalat nahin wo jo shikwe ab aap ko honge
badal gaya hai zamana badal gaya hun main

mujhe satao nahin zindagi nigah mein hai
fareb khao nahin tum ko jaanta hun main

mera ghurur-e-mohabbat ki main nahin samjha
teri nazar ne kaha tha ki dilruba hun main