اردو हिंदी
Koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua | Shaahi Shayari
koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua

Ghazal

Koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua

Bashir Badr

;

koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua
wo ghazal ka lahja naya naya na kaha hua na suna hua

jise le gai hai abhi hawa wo waraq tha dil ki kitab ka
kahin aansuon se miTa hua kahin aansuon se likha hua

kai mil ret ko kaT kar koi mauj phul khila gai
koi peD pyas se mar raha hai nadi ke pas khaDa hua

wahi KHat ki jis pe jagah jagah do mahakte honTon ke chand the
kisi bhule-bisre se taq par tah-e-gard hoga daba hua

mujhe hadson ne saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehndiyon se racha hua

wahi shahr hai wahi raste wahi ghar hai aur wahi lawn bhi
magar is dariche se puchhna wo daraKHt anar ka kya hua

mere sath jugnu hai ham-safar magar is sharar ki bisat kya
ye charagh koi charagh hai na jala hua na bujha hua