اردو हिंदी
Koi pari ho agar ham-kanar holi mein | Shaahi Shayari
koi pari ho agar ham-kanar holi mein

Ghazal

Koi pari ho agar ham-kanar holi mein

Nadir Lakhnavi

;

koi pari ho agar ham-kanar holi mein
to ab ki sal ho duni bahaar holi mein

kiya hai wada to phir bazm-e-raqs mein aana
na kijiyo mujhe tum sharmsar holi mein

safed pairahan ab to utar de allah
basanti kapDe hon ai gul-ezar holi mein

hamare ghar mein utarenge rah agar bhule
hain mast Doli ke un ke kahaar holi mein

mujhe jo qumquma mara to kar diya bismil
ajib rang se khele shikar holi mein

ye rang pash hue hain wo aaj ai 'nadir'
hai farsh-e-bazm-e-tarab lala-zar holi mein