koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de
maut ki aankh bhi khul jaegi aawaz to de
maqsad-e-ishq ham-ahangi-e-juzw-o-kul hai
dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saz to de
chashm-e-maKHmur ke unwan-e-nazar kuchh to khulen
dil-e-ranjur dhaDakne ka kuchh andaz to de
ek zara ho nasha-e-husn mein andaz-e-KHumar
ek jhalak ishq ke anjam ki aaghaz to de
jo chhupae na chhupe aur batae na bane
dil-e-ashiq ko in aankhon se koi raaz to de
muntazir itni kabhi thi na faza-e-afaq
chheDne hi ko hun pur-dard ghazal saz to de
hum asiran-e-qafas aag laga sakte hain
fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parwaz to de
ishq ek bar mashiyyat ko badal sakta hai
indiya apna magar kuchh nigah-e-naz to de
qurb o didar to malum kisi ka phir bhi
kuchh pata sa falak-e-tafraqa-pardaz to de
manzilen gard ki manind uDi jati hain
ablaq-e-dahr kuchh andaz-e-tag-o-taz to de
kan se hum to 'firaq' aankh ka lete hain kaam
aaj chhup kar koi aawaz par aawaz to de
Ghazal
Koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de
Firaq Gorakhpuri