koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha
shayad ki apni rah mein hail bhi main hi tha
apne hi gird main ne kiya umr bhar safar
bhaTkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha
ubhra hun jin se bar-ha mujh mein the sab bhanwar
Duba jahan pahunch ke wo sahil bhi main hi tha
aasan nahin tha sazishen karna mere KHilaf
jab apni aarzuon ka qatil bhi main hi tha
shab bhar har ek KHayal muKHatib mujhi se tha
tanhaiyon mein raunaq-e-mahfil bhi main hi tha
duniya se be-niyazi bhi fitrat meri hi thi
duniya ke ranj o dard mein shamil bhi main hi tha
mujh ko samajh na pai meri zindagi kabhi
aasaniyan mujhi se thin mushkil bhi main hi tha
mujh mein tha KHair o shar ka ajab imtizaj 'shad'
main KHud hi haq-parast tha baatil bhi main hi tha
Ghazal
Koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha
Khushbir Singh Shaad