اردو हिंदी
Koi nahin pachhtane wala | Shaahi Shayari
koi nahin pachhtane wala

Ghazal

Koi nahin pachhtane wala

Nooh Narvi

;

koi nahin pachhtane wala
mar jae mar jaane wala

mahfil mein aaega kyun kar
KHalwat mein sharmane wala

main rokun lekin kya rokun
jaega ghar jaane wala

shukr KHuda ka hum karte hain
kaam aaya kaam aane wala

sabr mera bekar na jae
taDpe wo taDpane wala

apna dil bahlaun kis se
hai kaun aane jaane wala

wo na milen mujh ko mil jae
koi ji bahlane wala

dil wo shai hai jis ka shaki
khone wala pane wala

lutf-o-karam farmata jae
lutf-o-karam farmane wala

sab se mushkil baat yahi hai
zinda ho mar jaane wala

kya samjhe asrar-e-mohabbat
dil de kar pachhtane wala

phulon ka murjhana dekhe
kaliyon par itrane wala

jaan meri hai jaane wali
dil hai un par aane wala

ya main hun ya mera dil hai
roz naya gham pane wala

'nuh' mohabbat ki duniya mein
hai tufan uThane wala