koi nahin hai intizar subh-e-visal ke siwa
koi talab nahin mujhe tere jamal ke siwa
kis ke sawal par ye dil rota hai sari sari raat
kaun habib hai mera tere KHayal ke siwa
koi nahin jo ruh par aisa bhala asar kare
nashshe tamam hain wajud teri misal ke siwa
chashma-e-KHwab se mujhe donon jahan ata hue
kuchh bhi nahin hai mere pas raKHt-e-maal ke siwa
aao hawa ke waste mil ke sabhi dua karen
rasta koi dikhai de surat-e-haal ke siwa
Ghazal
Koi nahin hai intizar subh-e-visal ke siwa
Arshad Lateef