اردو हिंदी
Koi nahin hai dekhne wala to kya hua | Shaahi Shayari
koi nahin hai dekhne wala to kya hua

Ghazal

Koi nahin hai dekhne wala to kya hua

Kunwar Bechain

;

koi nahin hai dekhne wala to kya hua
teri taraf nahin hai ujala to kya hua

chaaron taraf hawaon mein us ki mahak to hai
murjha rahi hai sans ki mala to kya hua

badle mein tujh ko de to gae bhuk aur pyas
munh se jo tere chhina niwala to kya hua

aankhon se pi raha hun tere pyar ki sharab
gar chhuT gaya hai hath se pyala to kya hua

dharti ko meri zat se kuchh to nami mili
phuTa hai mere panw ka chhaala to kya hua

sare jahan ne mujh pe lagai hain tohmaten
tum ne bhi mera nam uchhaala to kya hua

sar par hai man ke pyar ka aanchal paDa hua
mujh par nahin hai koi dushaala to kya hua

manchon pe chuTkule hain latife hain aaj-kal
manchon pe ne hain pant nirala to kya hua

ai zindagi tu pas mein baiThi hui to hai
shishe mein tujh ko gar nahin Dhaala to kya hua

aankhon ke ghar mein aai nahin raushni 'kunwar'
TuTa hai phir se nind ka tala to kya hua