اردو हिंदी
Koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai | Shaahi Shayari
koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai

Ghazal

Koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai

Iftikhar Arif

;

koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai
roz ek taza KHabar KHalq-e-KHuda chahti hai

mauj-e-KHun sar se guzarni thi so wo bhi guzri
aur kya kucha-e-qatil ki hawa chahti hai

shahr-e-be-mehr mein lab-basta ghulamon ki qatar
nae aain-e-asiri ki bina chahti hai

koi bole ke na bole qadam uTThen na uThen
wo jo ek dil mein hai diwar uTha chahti hai

hum bhi labbaik kahen aur fasana ban jaen
koi aawaz sar-e-koh-e-nida chahti hai

yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath
ab ke KHud apni hawaon mein bujha chahti hai

ahd-e-asudgi-e-jaan mein bhi tha jaan se aziz
wo qalam bhi mere dushman ki ana chahti hai

bahr-e-pamali-e-gul aai hai aur mauj-e-KHizan
guftugu mein rawish-e-baad-e-saba chahti hai

KHak ko ham-sar-e-mahtab kiya raat ki raat
KHalq ab bhi wahi naqsh-e-kaf-e-pa chahti hai