koi milta nahin ye bojh uThane ke liye
sham bechain hai suraj ko girane ke liye
apne ham-zad daraKHton mein khaDa sochta hun
main to aaya tha inhen aag lagane ke liye
main ne to jism ki diwar hi Dhai hai faqat
qabr tak khodte hain log KHazane ke liye
do palak bich kabhi rah na pai warna
main ne koshish to bahut ki nazar aane ke liye
lafz to lafz yahan dhup nikal aati hai
teri aawaz ki barish mein nahane ke liye
kis tarah tark-e-talluq ka main sochun 'tabish'
hath ko kaTna paDta hai chhuDane ke liye
Ghazal
Koi milta nahin ye bojh uThane ke liye
Abbas Tabish