koi mera imam tha hi nahin 
main kisi ka ghulam tha hi nahin 
tum kahan se ye but uTha lae 
is kahani mein ram tha hi nahin 
jis qadar shor-e-ab-o-gil tha yahan 
us qadar ehtimam tha hi nahin 
is liye sadh li thi chup main ne 
is se behtar kalam tha hi nahin 
hum ne us waqt bhi mohabbat ki 
jab mohabbat ka nam tha hi nahin 
tu kahan raste mein aa gai hai 
zindagi tujh se kaam tha hi nahin 
waqt ne la khaDa kiya us ja 
jo hamara maqam tha hi nahin 
is liye KHas kar diya gaya ishq 
aam logon ka kaam tha hi nahin
        Ghazal
Koi mera imam tha hi nahin
Imran Aami

