koi mausam bhi saza-war-e-mohabbat nahin ab
zard patton ko hawaon se shikayat nahin ab
shor hi karb-e-tamanna ki alamat na rahe
kisi diwar mein bhi gosh-e-samaat nahin ab
jal chuke log to ab dhup mein ThanDak aai
thi jo suraj ko daraKHton se adawat nahin ab
wo to pahle bhi sabilon mein nahin haTti thi
jis ke bikne ki dukanon pe ijazat nahin ab
ab to har shaKHs mein barpa hai KHud us ka mahshar
hai koi aur qayamat to qayamat nahin ab
Ghazal
Koi mausam bhi saza-war-e-mohabbat nahin ab
Jauhar meer