اردو हिंदी
Koi manzar bhi suhana nahin rahne dete | Shaahi Shayari
koi manzar bhi suhana nahin rahne dete

Ghazal

Koi manzar bhi suhana nahin rahne dete

Farigh Bukhari

;

koi manzar bhi suhana nahin rahne dete
aankh mein rang-e-tamasha nahin rahne dete

chahchahate hue panchhi ko uDa dete hain
kisi sar mein koi sauda nahin rahne dete

raushni ka koi parcham jo uTha kar nikle
is tarah dar ko zinda nahin rahne dete

kya zamana hai ye kya log hain kya duniya hai
jaisa chahe koi waisa nahin rahne dete

kya kahen dida-waro hum to wo dariya-dil hain
kabhi sahil ko bhi pyasa nahin rahne dete

rahzanon ka wahi manshur hai ab bhi 'farigh'
sar-kashida koi jada nahin rahne dete