koi mansab koi dastar nahin chahiye hai
shahzadi mujhe darbar nahin chahiye hai
aaKHiri ashk se is sog ki takmil hui
ab mujhe koi aza-dar nahin chahiye hai
is takalluf se ziyaada ka talabgar hun main
sirf ye saya-e-diwar nahin chahiye hai
ab muqabil mere apne hain sau ai rabb-e-jalil
hausla chahiye talwar nahin chahiye hai
chahiye hai mujhe inkar-e-mohabbat mere dost
lekin is mein tera inkar nahin chahiye hai
aaKHir aaza ne mere sath baghawat kar di
ab qabile ko ye sardar nahin chahiye hai
Ghazal
Koi mansab koi dastar nahin chahiye hai
Ahmad Kamran