koi jal mein KHush hai koi jal mein
mast hain sab apne apne haal mein
jada-e-shamshir ho ya farsh-e-gul
farq kab aaya hamari chaal mein
ek aansu se kami aa jaegi
ghaaliban dariyaon ke iqbaal mein
shola-e-sad-rang ki si kaifiyat
tujh mein hai ya tere KHadd-o-KHal mein
ek lamha mera yar-e-ghaar hai
is musibat-gah-e-mah-o-sal mein
ye jo mere ji ko chain aata nahin
hind mein iran mein bangal mein
roz ka rona laga hai apne sath
hum ne aankhen bandh lin rumal mein
dida o dil ne kiya hai kaam band
Thap hai karobar is haDtal mein
is nigah-e-naz ki ek ek baat
hai hamare pir ke aqwal mein
dil pe saya hai kisi sultan ka
warna kya rakkha hai is kangal mein
Ghazal
Koi jal mein KHush hai koi jal mein
Ahmad Javed