اردو हिंदी
Koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin | Shaahi Shayari
koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin

Ghazal

Koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin

Jagan Nath Azad

;

koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin
ho bahana bhi jo koi to zamana bhi nahin

zindagi tujh ko jo samjha hun to itna hi faqat
tu haqiqat bhi nahin aur fasana bhi nahin

KHamushi fikr ka mamba bhi hai aur baat ye hai
saf-goi ka azizo ye zamana bhi nahin

ek KHazana tha mera 'josh'-malih-abaadi
ab to 'azad' wo hathon mein KHazana bhi nahin

aaj ke daur mein 'azad' ghanimat hai bahut
tum use yaad na rakhna to bhulana bhi nahin