اردو हिंदी
Koi ho chehra shanasa dikhai deta hai | Shaahi Shayari
koi ho chehra shanasa dikhai deta hai

Ghazal

Koi ho chehra shanasa dikhai deta hai

Ejaz Obaid

;

koi ho chehra shanasa dikhai deta hai
har ek mein ek hi mukhDa dikhai deta hai

usi shajar pe shafaq ka karam hai shayad aaj
wo ek shajar jo sunahra dikhai deta hai

udhar wo dekho ki aakash kitna dilkash hai
jahan wo dharti se milta dikhai deta hai

dikhaen tum ko ghurub aaftab ka manzar
yahan ufuq ka kinara dikhai deta hai

wahi to hai jo meri justuju ki manzil hai
koi bhi shaKHs jo mujh sa dikhai deta hai