koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin
ab to is bazm mein meri koi aawaz nahin
naghma kaisa ki labon par bhi hai ek mohar-e-sukut
dil ki dhaDkan ke siwa ab koi aawaz nahin
aur hi hoti hai ek saz-e-shikasta ki sada
soz-e-gham jis mein na ho dil ki wo aawaz nahin
mahw-e-parwaz hai us auj pe bhi mera KHayal
jis bulandi pe farishton ki tag-o-taz nahin
KHar ban jaana hai har phul mere hisse ka
baghban ye meri qismat ka to eajaz nahin
jab se badla hai tera tarz-e-sitam ai zalim
dil-e-bismil ke taDapne ka wo andaz nahin
karwaTen lete hain naghmat-e-mohabbat is mein
dil ki aawaz se behtar koi aawaz nahin
phir gai milne se pahle wo nazar ai 'kashfi'
ye wo anjam hai jis ka koi aaghaz nahin

Ghazal
Koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin
Kashfi Lucknavi