koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein
KHak se uTThe hain so KHak hi hona hai hamein
phir talluq ke bikharne ki shikayat kaisi
jab use kanch ke dhagon mein pirona hai hamein
ungliyon ki sabhi poron se lahu rista hai
apne daman ke ye kis dagh ko dhona hai hamein
phir utar aae hain palkon pe sisakte aansu
phir kisi sham ke aanchal ko bhigona hai hamein
ye jo aflak ki wusat mein liye phirti hai
is ana ne hi kisi roz Dubona hai hamein
Ghazal
Koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein
Ahmad Khayal