koi hai baam par dekha to jae 
ujale ka safar dekha to jae 
charagh-e-chashm-e-tar dekha to jae 
mohabbat ka asar dekha to jae 
jo baal-o-par pe nazan ho rahe hain 
unhen be-baal-o-par dekha to jae 
ye naqsha mustarad to ho chuka hai 
magar bar-e-digar dekha to jae 
ghamon ki dhup mein lab par tabassum 
ye jine ka hunar dekha to jae 
hawa-e-tund barg-e-be-shajar ko 
uDati hai kidhar dekha to jae 
hamari hausla-mandi ko 'tariq' 
miyan-e-KHair-o-shar dekha to jae
        Ghazal
Koi hai baam par dekha to jae
Tariq Matin

