اردو हिंदी
Koi din ka aab-o-dana aur hai | Shaahi Shayari
koi din ka aab-o-dana aur hai

Ghazal

Koi din ka aab-o-dana aur hai

Ismail Merathi

;

koi din ka aab-o-dana aur hai
phir chaman aur aashiyana aur hai

han dil-e-be-tab chande intizar
amn-o-rahat ka Thikana aur hai

shama phiki raat kam mahfil udas
ab mughanni ka tarana aur hai

ai jawani tu kahani ho gai
hum nahin wo ya zamana aur hai

jis ko jaan-e-zindagani kah saken
wo hayat-e-jawedana aur hai

jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho
aah wo ghamgin fasana aur hai

wa agar sama-e-raza ho to kahun
ek pand-e-mushfiqana aur hai

ittifaqi hai yahan ka irtibaat
sab hain begane yagana aur hai