koi dilkash sa afsana kisi dildar ki baaten
fasurda raat hai chhoDo lab-o-ruKHsar ki baaten
ye mumkin hai parinda qaid ho koi mere andar
mujhe achchhi nahin lagtin dar-o-diwar ki baaten
zara ye bhi to dekho be-saron ke bich baiThe ho
kahan karne lage ho tum aman dastar ki baaten
tumhaari shaeri se bor main ab ho gaya 'saurabh'
wahi haalat ka rona wahi bekar ki baaten

Ghazal
Koi dilkash sa afsana kisi dildar ki baaten
Saurabh Shekhar