koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
chaaragaron ne aur bhi dard dil ka baDha diya
donon ko de ke suraten sath hi aaina diya
ishq bisorne laga husn ne muskura diya
zauq-e-nigah ke siwa shauq-e-gunah ke siwa
mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya
thi na KHizan ki rok-tham daman-e-iKHtiyar mein
hum ne bhari bahaar mein apna chaman luTa diya
husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai
jis ko sanam bana liya us ko KHuda bana diya
dagh hai mujh pe ishq ka mera gunah bhi to dekh
us ki nigah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya
ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-murad
ubhra kahin jo ye fasad dil ne wahin daba diya
naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe DhunDte ho kya
harf-e-ghalat nazar paDa tum ne mujhe miTa diya
KHubs-e-darun dikha diya har dahan-e-ghaliz ne
kuchh na kaha 'hafiz' ne hans diya muskura diya
Ghazal
Koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
Hafeez Jalandhari