koi dariya hun jo kuze mein simaT jaunga
pyas hun main tere honTon se lipaT jaunga
ek aawaz se milti hain kai aawazen
main andhere mein kisi se bhi lipaT jaunga
jis tarah chahiye kar lijiye nuqte ka shumar
main adad kab hun ki tadad mein baT jaunga
ghaur kar ek naya sher hun naqqad-e-ghazal
tera bheja main nahin hun ki ulaT jaunga
koi naghma koi aawaz nahin hun 'ashhar'
bazm-e-tanhai hun KHud se hi lipaT jaunga
Ghazal
Koi dariya hun jo kuze mein simaT jaunga
Iqbal Ashhar Qureshi