koi chhoTa yahan koi baDa hai
ye sara khel zalim waqt ka hai
wo sar karte hain jin ko hausla hai
wagarna zindagi ek marhala hai
tujhe malum kya hai lazzat-e-gham
tera dil ishq se na-ashna hai
jo KHud waqif nahin manzil se apni
KHuda baKHshe hamara rahnuma hai
Duboega use kya koi tufan
KHuda kashti ka jis ki naKHuda hai
chhupaun aaine se kya haqiqat
baDa kam-baKHt hai sach bolta hai
faqat ek darmiyan parda hai warna
tera mera azal se wasta hai
mila kar hath hum se faeda kya
wahi ab tak dilon mein fasla hai
nazar jati nahin 'asghar' kisi par
nazar mein jab se wo jalwa-numa hai
Ghazal
Koi chhoTa yahan koi baDa hai
Asghar Velori