koi bhi KHush nahin hai is KHabar se
ki duniya jald lauTegi safar se
main sahra mein safina dekhta hun
samundar koi guzra hai idhar se
sambhaalo apna harf-e-dad-o-tahsin
main kab hun mutmain arz-e-hunar se
KHata hai ye jawaz apni KHata ka
KHataen hoti rahti hain bashar se
sabhon mein KHamiyan hi dekhta hai
wo hai mahrum kya husn-e-nazar se
ghazab ka aaega sailab yaro
ki guzra hai bahut sa pani sar se
bulandi itni bhi achchhi nahin hai
utaro ab 'ata' ko dar par se
Ghazal
Koi bhi KHush nahin hai is KHabar se
Ata Abidi