koi bhi dar se zinda nahin utarta hai
magar junun hamara nahin utarta hai
tabah kar diya ahbab ko siyasat ne
magar makan se jhanDa nahin utarta hai
main apne dil ke ujaDne ki baat kis se kahun
koi mizaj pe pura nahin utarta hai
kabhi qamiz ke aadhe button lagate the
aur ab badan se labaada nahin utarta hai
musalahat ke bahut raste hain duniya mein
magar salib se isa nahin utarta hai
juariyon ka muqaddar KHarab hai shayad
jo chahiye wahi patta nahin utarta hai
Ghazal
Koi bhi dar se zinda nahin utarta hai
Shakeel Jamali

