koi bhi chiz yahan waqt-e-zarurat na mili
kabhi sahra jo mila bhi kahin wahshat na mili
band kamre mein ye dastur kahan se aaya
kyun mujhe KHud se bhi milne ki ijazat na mili
kyun har ek moD pe roka hai talashi ke liye
kyun mujhe ghar se nikalne ki ijazat na mili
ab yahi ranj meri aankh mein aa baiTha hai
toD kar aaina dekha kahin hairat na mili
mauj-e-dariya thi kahin aur na hawa ka jhonka
ret par likkhi thi jo raat ibarat na mili
Ghazal
Koi bhi chiz yahan waqt-e-zarurat na mili
Hamdam Kashmiri

