koi batlae majra kya hai 
roz-o-shab ka ye silsila kya hai 
sare aalam mein ghum kar dekha 
mere mahbub ke siwa kya hai 
ibtida ki KHabar nahin mujh ko 
kya bataun ki intiha kya hai 
aag phaile to dur tak jae 
lau hai kya chiz aur diya kya hai 
band kar de kafan-faroshi ko 
murda jismon pe ab raha kya hai 
aql mazur hai mohabbat mein 
ye na jaane bhala-bura kya hai 
apne kase ko bhar liya main ne 
main nahin jaanti ata kya hai 
ramz dariya hi jaanta hoga 
sohni kaun hai ghaDa kya hai
        Ghazal
Koi batlae majra kya hai
Syeda Nafis Bano shama

