koi bagula raqsan mere andar hai
dil-sahra mein jashn ke jaisa manzar hai
main ne kaise kaise moti DhunDe hain
lekin tere aage sab kuchh patthar hai
balcony par aao meri palkon ki
dekho kitna gahra nila samundar hai
KHamoshi se mar na de ek din mujh ko
shor sa ek jo meri zat ke andar hai
chahe jo bhi khiDki mein kholun 'athar'
sab ke bahar ek hi jaisa manzar hai
Ghazal
Koi bagula raqsan mere andar hai
Mirza Athar Zia