koi bach nahin pata aisa jal bunte hain
kaise kaise qisse ye mah-o-sal bunte hain
jaane kitni sadiyon se har baras KHizan-rut mein
KHushk patte dharti par zard shaal bunte hain
aaj kal na jaane kyun zehn par tanaw hai
TuT-phuT jata hai jo KHayal bunte hain
shahr wale pochhenge kuchh sabab jaddai ka
ghar ke KHali kone bhi kuchh sawal bunte hain
hijr ke manazir ko bhulna hi behtar hai
pyar ki tanabon se phir visal bunte hain
halqa-e-mohabbat mein jo nazir ban jae
aao hum wafaon ki wo misal bunte hain
ab purani baaton ko kya kuredna 'shahid'
bhul kar guzashta ko apna haal bunte hain
Ghazal
Koi bach nahin pata aisa jal bunte hain
Shahid Fareed