koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de
qaid-e-tanhai mein hun main mujh ko aa kar khol de
ye tanaw jism ka baDhne nahin dega tujhe
chust pairahan mein tu apne zara sa jhol de
ek laDki jal rahi hai chilchilati dhup mein
koi baadal aa ke us par apni chhatri khol de
rah takte jism ki majlis mein sadiyan ho gain
jhank kar andhe kunen mein ab to koi bol de
main KHaridar-e-wafa hun tu giraftar-e-wafa
meri banhon mein thirakta jism apna tol de
der tak banjara kal koi sada deta raha
kaun hai bazar mein jo jins-e-dil ka mol de
jaane kab se faisla qismat ka sunne ke liye
muntazir baiTha hun main tu apni muTThi khol de
sher achchhe hon to be-gae bhi mil jati hai dad
tu KHudara lahn ke hathon mein mat kashkol de
Ghazal
Koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de
Aftab Shamsi