kiya hai sandalin-rangon ne dar band
mera ho kis tarah se dard-e-sar band
nahin hain tere dam-e-zulf mein dil
laTakte hain hazaron murgh par-band
nahin but-KHana o kaba pe mauquf
hua har ek patthar mein sharar band
raqibon se hui hai bazm KHali
karo darwaza be-KHauf-o-KHatar band
tamasha band aankhon mein hai mujh ko
hui meri ba-zahir chashm-e-tar band
nahin duniya mein aazadi kisi ko
hai din mein shams aur shab ko qamar band
dikhao mai-kasho ab zor-e-masti
kiya zahid ne mai-KHane ka dar band
dar-e-jaanan bhi ek marja hai 'bahram'
hujum-e-ashiqan hai rahguzar band

Ghazal
Kiya hai sandalin-rangon ne dar band
Bahram ji