kiya hai KHud hi giran zist ka safar main ne
katar liye the kabhi apne baal-o-par main ne
yun apni zat mein ab qaid ho ke baiTha hun
KHud apne gird uThae the baam-o-dar main ne
badal gae KHat o mani kai zabanon ke
jab e'tiraf-e-junun kar liya hunar main ne
tu meri tishna-labi par sawal karta hai
samundaron pe banaya tha apna ghar main ne
jo aaj phir se mere baal-o-par nikal aae
to teri rah ke kaTwa diye shajar main ne
main us ki zat pe yun tabsira nahin karta
ki pure qad se to dekha nahin magar main ne
main chand raat ka bhaTka hua musafir tha
andheri raat mein tanha kiya safar main ne
main be-libas to aaya tha ba-libas gaya
ye zad-e-rah kamaya rah-e-hunar main ne
wafur-e-harf ke wirse ki aarzu mein 'said'
suna hai 'mir' aur 'mirza' kabhi 'jigar' main ne
Ghazal
Kiya hai KHud hi giran zist ka safar maine
Saeed Naqvi