kiya hai ishq ne aazad do-jahan se hamein
na kuchh yahan se gharaz hai na kuchh wahan se hamein
KHudi ko bhul ke mast-e-alast ho jaana
mila hai faiz ye KHum-KHana-e-mughan se hamein
azan haram mein hai naqus hai kunisht mein to
sadaen aati hain teri kahan kahan se hamein
phir aaj uTTha hai wo parda-e-hijab kahin
shuaen si nazar aati hain kuchh yahan se hamein
misal-e-shama hain sab raat-bhar ke ye jalwe
sahar ko uThna hai is mahfil-e-jahan se hamein
miTa ke hasti-e-mauhum tujh ko paya hai
pata mila hai tera KHak-e-be-nishan se hamein
chaman se uTh gaya 'raunaq' jab aashiyan apna
na phir bahaar se matlab na kuchh KHizan se hamein

Ghazal
Kiya hai ishq ne aazad do-jahan se hamein
Piyare Lal Raunaq Dehlwi