kitni hasrat se teri aankh ka baadal barsa
ye alag baat mera shola-e-gham bujh na saka
tera paikar hai wo aaina ki jis ke dam se
main ne sau rup mein KHud apna sarapa dekha
ek lamhe ke liye chand ki KHwahish ki thi
umr bhar sar pe mere qahr ka suraj chamka
jab bhi ehsas-e-aman bais-e-taskin Thahra
an-ginat KHatron ki aahaT se dil apna dhaDka
main aziyyat ki guphaon mein karahun kab tak
be-gunahi ki saza ke liye miad hai kya
tira-o-tar KHalaon mein bhaTakta raha zehan
raat sahra-e-ana se main hirasan guzra
sehr-e-goyai ke kis dasht ka faizan hai ye
har suKHan lab se tere surat-e-ahu nikla
main ne jis shaKH ko phulon se sajaya 'arif'
mere sine mein usi shaKH ka kanTa utra
Ghazal
Kitni hasrat se teri aankh ka baadal barsa
Arif Abdul Mateen