kitni aasani se duniya ki girah kholta hai
mujh mein ek bachcha buzurgon ki tarah bolta hai
kya ajab hai ki uData hai kabutar pahle
phir fazaon mein wo barud ki bu gholta hai
rup kitne hi bharen kitne hi chehre badlen
aaina aap ko apni hi tarah taulta hai
soch lo kal kahin aansu na bahane paD jaen
KHun ka kya hai ragon mein wo yunhi khaulta hai
hath uThata hai duaon ko falak bhi us dam
jab parinda koi parwaz ko par taulta hai
kaun waqif nahin sansar ke sach se lekin
sab ka sansar ki har chiz pe man Dolta hai
Ghazal
Kitni aasani se duniya ki girah kholta hai
Rajesh Reddy