kitne tafakkuraat se aazad ho gaya
wo aadmi jo inT pe sar rakh ke so gaya
suraj Dhala to taq mein jalta hua diya
tarikiyon se bar-sar-e-paikar ho gaya
apni ghalazaten thin ki az-rah-e-iltifat
sailab shahar ke dar-o-diwar dho gaya
ek dost se yahan bhi mulaqat ho gai
rahna yahan bhi ab mera dushwar ho gaya
ek aur khet pakki saDak ne nigal liya
ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya
'KHalid' mujhe to achchhi tarah yaad bhi nahin
wo hadsa jo kal meri palken bhigo gaya
Ghazal
Kitne tafakkuraat se aazad ho gaya
Khalid Siddiqui