اردو हिंदी
Kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre | Shaahi Shayari
kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre

Ghazal

Kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre

Razia Halim Jang

;

kitne nayab the lamhe jo wahan par guzre
jab uThe hath duaon ko to gauhar barse

tak rahe the tere ghar ko wo saman bhi kya tha
tu guzarta hai hawa aai to hum ye samjhe

kitni hi bar kiya hum ne to zamzam se wazu
kitni hi bar teri yaad mein aansu chhalke

surma-e-KHak-e-madina jo laga aankhon mein
misl aaine ke aankhon ke nagine chamke