kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main
aaj bhi apne waqt par ghar se nikal paDa hun main
abr se aur dhup se rishta hai ek sa mera
aaine aur charagh ke bich ka fasla hun main
tujh ko chhua to der tak KHud ko hi DhunDta raha
itni si der mein bhala tujh se kahan mila hun main
KHushbu tere wajud ki ghere hue hai aaj bhi
tere labon ka zaiqa bhul nahin saka hun main
aayaton jaise na-gahan jawedan lams ki qasam
tere achhute jism ka pahla mukalima hun main
waise to mera daera pura nahin hua abhi
aisi hi koi qaus thi jis se juDa hua hun main
jitni bhi tez dhup ho shaKHen hain mehrban teri
chhanw parai hi sahi sans to le raha hun main
Ghazal
Kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main
Zia-ul-Mustafa Turk