اردو हिंदी
Kitna sukut hai rasan-o-dar ki taraf | Shaahi Shayari
kitna sukut hai rasan-o-dar ki taraf

Ghazal

Kitna sukut hai rasan-o-dar ki taraf

Habib Jalib

;

kitna sukut hai rasan-o-dar ki taraf
aata hai kaun jurat-e-izhaar ki taraf

dasht-e-wafa mein aabla-pa koi ab nahin
sab ja rahe hain saya-e-diwar ki taraf

qasr-e-shahi se kahte hain niklega mehr-e-nau
ahl-e-KHirad hain is liye sarkar ki taraf

weitnam-o-Korea se adu ko nikal len
aaenge lauT kar lab-o-ruKHsar ki taraf

baqi jahan mein rah gaya 'ghaalib' ka nam hi
har-chand ek hujum tha aghyar ki taraf