kitna hushiyar hua kitna wo farzana hua
teri masti-bhari aankhon ka jo diwana hua
aah ye aalam-e-ghurbat ye shab-e-tanhai
ek qayamat hui dhyan aise mein tera na hua
ek jahan aaj bhi hai us ke tilismon mein asir
sab ka ho kar bhi jo ayyar kisi ka na hua
tujh ko apnane ka yara tha na khone hi ka zarf
dil-e-hairan isi uljhawe mein diwana hua
kaifiyat us ki judai ki na puchho yaro
dil tahi ho ke bhi chhalka hua paimana hua
hae wo lutf-o-karam us ke sitam se pahle
kar ke begana zamane se jo begana hua
roz-e-mahshar na banaya shab-e-gham ko hum ne
zikr tera hi bas afsana dar afsana hua
karb rahat hai kabhi aur kabhi rahat karb
ek muamma ye mizaj-e-dil-e-diwana hua
ek mahsus qarabat ki wo KHushbu-e-badan
jis ko chhune ka tasawwur mein bhi yarana hua
kaifiyat dard-e-tamanna ki wahi hai ki jo thi
tera izhaar-e-wafa bhi dam-e-isa na hua
jaane kis jaan-e-bahaaran ki lagan hai ki 'salam'
dil sa mamura-e-wahshat kabhi sahra na hua
Ghazal
Kitna hushiyar hua kitna wo farzana hua
Ain Salam

