kitna DhunDa use jab ek ghazal aur kahi
jab mila hi nahin tab ek ghazal aur kahi
ek ummid mulaqat mein likkhi sar-e-sham
aur phir aaKHir-e-shab ek ghazal aur kahi
ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga
phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi
us ghazal mein kisi be-dard ka nam aata tha
so pae bazm-e-tarab ek ghazal aur kahi
jaante bujhte ek misra-e-tar ki qimat
dil-e-bedad-talab ek ghazal aur kahi
dil ki dhaDkan ko hi pairaya-e-izhaar kiya
sil chuke jab mere lab ek ghazal aur kahi
dafatan KHud se mulaqat ka ehsas hua
muddaton baad jo ab ek ghazal aur kahi
wahshat-e-hijr bhi tanhai bhi main bhi 'anjum'
jab ikaTThe hue sab ek ghazal aur kahi
Ghazal
Kitna DhunDa use jab ek ghazal aur kahi
Anjum Khaleeq