اردو हिंदी
Kitna bekar tamanna ka safar hota hai | Shaahi Shayari
kitna bekar tamanna ka safar hota hai

Ghazal

Kitna bekar tamanna ka safar hota hai

Saifuddin Saif

;

kitna bekar tamanna ka safar hota hai
kal ki ummid pe har aaj basar hota hai

yun main sahma hua ghabraya hua rahta hun
jaise har waqt kisi baat ka Dar hota hai

din guzarta hai to lagta hai baDa kaam hua
raat kaTti hai to ek marka sar hota hai

log kahte hain muqaddar ka nawishta jis ko
hum nahin mante har chand magar hota hai

'saif' is daur mein itna bhi ghanimat samjho
qaid mein rauzan-e-diwar bhi dar hota hai