اردو हिंदी
Kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai | Shaahi Shayari
kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai

Ghazal

Kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai

Seemab Sultanpuri

;

kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai
har ek sawal jahan la-jawab hota hai

main pi gaya hun yahi soch kar tere aansu
hasin aankhon ka pani sharab hota hai

mere bhi hath mein aaya tha jam TuT gaya
kisi kisi ka muqaddar KHarab hota hai

labon se harf-e-mohabbat ada nahin hota
nazar nazar se sawal-o-jawab hota hai

kisi ke dard ko samjho kisi ka gham le lo
kisi ka hath baTana sawab hota hai

kabhi wo jagta rahta hai soi aankhon mein
kabhi wo jagti aankhon ka KHwab hota hai

makin ban ke yahan kaun aaega 'simab'
dil-e-shikasta makan-e-KHarab hota hai