kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain
tere takiye ke niche bhi hamare KHwab rakkhe hain
makan to satah-e-dariya par banae hain hobabon ne
asase ghar ke lekin sab ne zer-e-ab rakkhe hain
ye kankar un se pahle hath par lahren bana lega
hamari rah mein chahat ne jo talab rakkhe hain
kinaron par pahunch kar tairne lagti hain taswiren
samundar ne safine to pas-e-girdab rakkhe hain
hamare ghar ki buniyaadon ke patthar kya hue aaKHir
kahin tufan ke TukDe kahin sailab rakkhe hain
tere aane se pahle jin ko murjhane ki jaldi thi
wahi patte hawa-e-hijr ne shadab rakkhe hain
Ghazal
Kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain
Ghulam Mohammad Qasir